dil ne wafa ke naam per kaar-e-jafa nahi kia
Khud ko halak kar liya Khud ko fida nahi kia
kaise kahen ke tujh ko bhi humse hai wasta koi?
tune to humse aaj tak koi gila nahi kia
tum bhi kisi ke baab mein ahad-shikan ho galiban
maine bhii ek shaKhs ka qarz ada nahi kia
jo bhii ho tum pe mautariz us ko yahi jawaab do
aap bahot shareef hain.. apne kya nahi kia
jis ko bhii sheKh-o-shah ne hukm-e-Khuda diya qarar
humne nahi kia wo kaam haan ba-Khuda nahi kia
nisbat-e-ilam hai bahot hakim-e-waqt ko aziz
us ne to kaar-e-jehl bhi be-ulama nahi kia

